Hindi Natak Hindi PDF – Aadhunik Hindi me natko ka prarambh Bharatendu Harishchandr se mana jata hai. Us kal ke Bharatendu tatha unke samkalin natk-karo ne lok chetna ke vikas ke lie natko ki rchna ki isliye us samay ki samajik samsyao ko natko me abhivyakt hone ka achchha avsar mila. Jaisa ki kaha ja chuka hai, Hindi me avyavasayik sahityik rangmanch ke nirman ka Shree Ganesh aagahasan ‘Amanat’ lakhanavi ke ‘Indr-Sabha’ namak giti-rupak se mana ja skta hai. Pr sach to yah hai ki ‘Indr-Sabha’ ki vastav me rangamanchiy krti nhi thi. Isme shamiyane ke niche khula staze rhta tha.
Nautanki ki tarah tin or darshak baithate the, ek or takht par raja Indr ka aasan lga diya jata tha, Sath me pariyo ke lie kursiyan rkhi jati thi. Sajindo ke pichhe ek lal rang ka parda latka diya jata tha. Isi ke pichhe se patro ka pravesh kraya jata tha. Raja Indr, pariya aadi patr ek bar aakr vhi upasthit rhte the. Ve apne sanvad bolkar vaps nhi jate the.
Is pustak ka kul size 8.21 MB hai aur kul pristho ki sankhya 173 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Book Writer | Dr. Nagendra |
Book Language | Hindi |
Book Size | 8.21 MB |
Total Pages | 173 |
Category | Drama |
Download Free E-Book
Donate us for maintenance
Buy this book from Amazon
Listen this book on Audible