Ardhnarishwar Hindi Book – Ardhnarishwar ka arth hai – aadha insan aur aadhe ishwar. Srshti ke nirman ke hetu shiv ne apni shakti ko svayam se prthak kiya. Shiv svayan pulling ke tatha unki shakti stri ling ki dyotak hai. Purush (Shiv) evam stri (shakti) ka ek hone ke karan Shiv nr bhi hai aur nari bhi, atah ve Ardhnarishwar hai. Jb Brahma ne srijan ka kary aarambh kiya tab unhone paya ki unki rachanaye apne jeevanoprant nasht ho jaengi tatha hr bar unhe nye sire se srijan krna hoga. Gahan vichar ke uprant bhi vo kisi bhi nirnay pr nhi pahunch paye. Tb apne samsya ke samadhan ke hetu vo Shiv ki sharan me pahunche.
Unhone Shiv ko prasann krne hetu kathor tp kiya. Brahma ki kathor tp se Shiv prasann hue. Brahma ke samsya ke samadhan hetu Shiv Ardhnarishwar swarup me pragat hue. Ardh bhag me ve Shiv the tatha ardh me Shiva. Apne is swarup se Shiv ne Brahma ko prajananshil prani ke srijan ki prerna pradan ki. sath hi sath unhonne purush evam stri ke saman mahatv ka bhi updesh diya. Iske bad Ardhnarishwar bhagwan antar dhyan ho gye.
Is pustak ka kul size 36.65 MB hai aur kul pristho ki sankhya 296 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Writer | Ramdhari Singh Dinkar |
Book Language | Hindi |
Book Size | 36.65 MB |
Total Pages | 296 |
Category | Literature |