Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Ashtanga Hridayam ( अष्टाङ्गहृदयं ) Hindi PDF – Shiv Sharma

Ashtanga Hridayam, aayurved ka prasiddh granth hai. Iske rchayita Vagbhat hai. Iska rchanakal 500 isapurv se lekar 250 isapurv tak anumanit hai. Is granth me aushadhi (medicine) aur shalyachikitsa dono ka samavesh hai. Yah ek sangrah granth hai, jisme Charak, Sushrut, Ashtanga Sangrah tatha any anek prachin aayurvediy granthon se uddharan liye gye hai. Vagbhat ne apne vivek se anek prasangochit vishyo ka prastut granth me samavesh kiya hai. Charak Sanhita, Sushrut Sanhita aur Ashtang Hridayam ko sammilit rup se vrhattrayi kehte hai.

Ashtanga Hriday me aayurved ke sampurn vishay- kayachikitsa, shalyachikitsa, shalaky aadi aathon ango ka varnan hai. Unhonne apne granth ke vishay me svayan hi kaha hai ki, Yah granth sharir rupi aayurved ke hrday ke saman hai. jaise- sharir me hrday kee pradhanta hai, usi prakar aayurved vanmay me Ashtaanga hriday, hrday ke saman hai. Apni visheshtao ke karan yah granth atyant lokpriy hua.

Is granth me Medicine aur surgery dono hi prakar ki chikitsa ko shamil kiya hai. Ashtanga Hridayam me ayurved ke sare vishay jese Kaychikitsa, Shalyachikitsa aur Shalakya aadi aatho ango ka varnan hai. Is pustak ka kul size 16.9 MB hai aur 456 kul pristh hai. Niche diye gye link se aap is pustak ko aasani se download kr skte hai. 

WriterShiv Sharma
Book LanguageHindi
Book Size46 MB
Total Pages562
CategoryAyurveda

Download Free Hard Copy  
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy From Amazon  
Listen this book on audible

Leave a Comment