Bhakt Prahalad Hindi Book – Vishnu Puran ki ek katha ke anusar jis samay asur sanskrti shaktishali ho rhi thi, us samay asur kul me ek adbhut, Prahlad namak balak ka janm hua tha. Uska pita, asur raj Hirany Kashyap tatha man aur Maharshi Kashyap aur diti ka pautr tha. Uske char bhai the jinme vo sbse bda tha. Devtao se vardan prapt kr ke nirankush ho gya tha. Uska aadesh tha, ki uske rajy me koi vishnu ki puja nhi krega. Parantu Prahlad Vishnu bhakt tha aur ishvar me uski atut aastha thi.
Is pr krodhit hokr Hiranyakashyap ne use mrtyu dand diya. Hiranyakashyap ki bahan, holika, jis ko aag se na mrne ka var tha, Prahlad ko lekar agni me baith gyi. Parantu ishvar ki kripa se Prahlad ko kuchh na hua aur vah svayam bhasm ho gyi. Agle din bhagwan vishnu ne narsinh avtar lekar Hiranyakashyap ka pet cheer kr use mar dala aur srishti ko uske atyacharo se mukti pradan ki, is hi avsar ko yad kr holi mnayi jati hai. Is prakar prahlad ki kahani holi ke parv se judi hui hai. Hme bhi prahlad ki tarah bnna chahiye.
Is pustak ka kul size 3 MB hai aur kul pristho ki sankhya 108 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Writer | Nathhimal Upadhyay |
Book Language | Hindi |
Book Size | 3 MB |
Total Pages | 108 |
Category | Religious - Hinduism |