‘Kabir Saheb Ka Bijak‘ Kabir vani ka pramanik granth kaha jata hai. Yah Kabir dvara hi likha gya hai, isme sandeh hai. Kabir ne jis bhasha aur shaili me apni vani kahi hai, vah unke sahityik evan shastriy nishtha ka prman nhi deti. Kabir ki sakhi yah kehti hai- Kabir sansa dur karu, pustak di bahay. Aur janshruti yah kehti hai ki masi kagad chhuyo nhi, kalam gahi nhi hath. Tab unhone Bijak granth likha hoga, Isme bahut sandeh hota hai.
Kabir ne to apne siddhant aur updesh Maukhik rup me hi diye. Unhone sdaiv “Kahai Kabir suno bhai Sadho” hi kaha, “Likhai Kabir padho bhai Sadho” jaisi pankti kbhi nhi likhi. at: jo vani unhone kahi, vah maukhik rup me hi pracharit hui. Yah bat avashy kahi ja skti hai ki jo kuchh bhi unhone kaha, use unke shishyon ne likha aur Kabir ke nam se pracharit kiya.
Yah bhi sambhav hai ki shishyo ki bahut si vani Kabir ke nam se hi pracharit hui ho. Yahi karan hai ki aaj Kabir ke nam se lagbhag 61 granth milte hai, jinme se kafi sankhya aise grantho ki hai, jo kabir ke bad likhe gye aur jinme un siddhanto ki charcha hai, jinme bahyachar aur karmkand ka nirupan vishesh rup se hua. Kabir ne bahyachar aur karmkand ki sadaiv hi ninda ki. Atah ve granth Kabir dvara nirmit nhi ho skte.
Is pustak ka kul size 51.67 MB hai aur kul pristho ki sankhya 130 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Book Writer | Kabirdas |
Book Language | Hindi |
Book Size | 51.67 MB |
Total Pages | 130 |
Category | Literature |
Download Free E-Book
Donate us for maintenance
Buy this book from Amazon
Listen this book on Audible