Maharaj Krishandev Rai ki dincharya thi ki ve subah-subah raj udyan me tahlne jaya krte the aur us samay unke sath keval Tenali Ram hi hote the. Isi samay Maharaj bahut se gambhir nirnay le liya krte the, kyi bhavishy ki yojanaye bna liya krte the, jiski khbr Tenali Ram ko to hoti thi, kintu baki drbariyo ko koi bhi bat samay ke sath hi pta chlti thi. Isliye kuchh drbariyo ne socha ki Maharaj ke sath Tenali Ram ka ghumna bnd kraya jaye . Isliye ek rat unhone kuchh gaye lakr raj udyan me chhod di . Rat bhar me gayonne udyan ko ujadkr rakh diya. Agle din Maharaj bhor me akele hi vha aaye to gayo ko vha chrta dekh aur udyan ki ujdi hui halat dekhkr ve aag-babula ho uthe.
Unhone faurn mali ko apne pas bulaya aur puchha – ”Ye gaye raj udyan me kaise aayi. Mali ne uttar diya ” ”Mmm…Maharaj .” Sehmkr mali bola- ”Ye gaye to Tenali Ram ji ne yha chhudayi hai.” ”Tenali Ram ne?” Maharaj ko bda aashchary hua. Isi bich any darbari bhi udyan me aa gye. Mamle ko smjhte hi ve bole- ”Maharaj! Darasal Tenali ko aap hr roj apne sath ghumne ke liye bula lete hai, Isi karan krodhit hokr usne aisa kadam uthaya hoga ki na udyan rhega, na aap ghumenge aur na samay-asamay unhe bulayenge .”
Maharaj ko yah sunkr bda krodh aaya. Unhone turnt aadesh diya ki udyan me hue nuksan ke bdle Tenali Ram se panch hjar swarn mudraye vasuli jaye aur in gayo ko rajy ki pashushala me bhijva diya jaye. Din chdhte-chdhte ye khbr Tenali Ram tk bhi ja pahunchi. Tin din tk vah darbar me aaye hi nhi. Tin din bad darbar me aaye. Unke sath kuchh gvale bhi the. Tenali Ram ne Maharaj ko prnam kiya aur bole: ”Maharaj! mujhse jurmana vasul krne ka aadesh dene se pehle aap kripa kr inki bat sun len. Uske bad hi mere bare me koi ray kayam kre .”
Thik hai .” Maharaj gvalo se mukhatib hue: ”kya kehna chahte hai aap log ?” ”Maharaj! apke kuchh darbari hmse hmari gaye khridkr laye the, mgr unhone aaj chauthe din tk bhi un gayo ki kimat ada nhi ki. hamaaree mahaaraaj se vinatee hai ki hamen hamaaree gaayon kee keemat dilayi jaye .”
Raja krishnadev Rai ne sari bat ki janch ki to pta chla ki Tenali Ram ko bdnam krne ke liye darbariyo ne yah chal chali thi. Maharaj ne hukm diya ki jo pach hjar swarn mudrao ka jurmana Tenali Ram ko bhrna tha, vah jurmana ab gayo ko kharid kr lane vale darbari bhrenge tatha gayo ki kimat bhi ve hi chukayenge. Ye kary avilamb aaj hi ho. Is prkar Tenali ki buddhi se ve bechare ek bar fir mat kha gye.
Moral ( शिक्षा ) – Dusro ke liye gaddhe khodne wala insan khud hi us gaddhe me gir jata hai.