Chanakya Niti Hindi PDF: Chanakya (Kautilya) sbse mhan prachin darshanik, shikshak, shahi salahkar aur arthshastri the jinhone Maury Samrat Chandragupt Maurya ko apni shakti bdhane aur apne samay ke mahantam Rajao me se ek bnane me madad ki aur ek bhumika nibhayi. Chanakya (Kautilya) ne Chandragupt evam unke putr Bindusar dono ke mukhy salahkar ke rup me kary kiya. Unki Maury samrajy ki sthapna me bahut mahatvpurn bhumika thi.
Chanakya Niti Book
Chanakya Niti mul rup se sanskrit me likhi gyi thi lekin bad me sbhi ki suvidha ke liye iska Engish aur Hindi aur kyi any bhashao me anuvad kiya gya. Chanakya/Kautilya Niti-shastr aur uddharan aaj bhi bahut se log usse prerna lene ke lie padhte hai. Unki pustk jise vartman me Chanakya Neeti-Shastr ya Kautilya Niti ke rup me jana jata hai. Apne samay me kyi Rajao ko prerit kiya hai aur aaj ki aadhunik duniya me sbse adhik bikne vali pustko me se ek hai. Aapki suvidha ke lie hmne unki pustak ko English aur Hindi dono sanskarano me pdane ke lie uplabdh kraya hai.
Unki pustak me kul 17 adhyay hai aur pratyek adhyay jeevan ke bare me anutha sabak sikhata hai aur jeevan ke nye alag-alag drshtiko dikhata hai. Isme prakrti, mahilao, purusho, bachcho, shatru, mitr aur manav jeevan ke vibhinn pehaluo ke bare me uddharan shamil hai aur yah btata hai ki kisi vishesh sthiti me kaise vyavhar krna hai. Agar aapne Kautily Niti ko achchhi tarah pdh liya hai aur uska palan kiya hai, to aapko jeevan me koi bhi dhokha nhi de skta.
Chanakya Niti ke Kuchh Ansh
Chanakya niti dvara mitr-bhed se lekr dushman tk ki pehchan, pti-prayan tatha charitr hin striyon me vibhed, raja ka krtavy aur jnta ke adhikaro tatha varn vyavastha ka uchit nidan ho jata hai. Itni sadiya gujrne k bad bhi Chankaya ke dwara btaye gye siddhant aur nitiya aaj bhi utni hi jeevan se judi hui hai kyoki unhone gehen adhyayan, chintan, jeevananubhvo se arjit amulya gyan ko puri trh se niswarth bhav se manav kalyan ke uddeshya se abhivyakti kiya. Mahapandit aachary Chanaky ki Chanaky Niti me kul satrah adhyay hai.
Chankya Niti ke anusar
- Kisi bhi vykti ko jrurt se jyada ‘sidha’ nhi hona chahiye, kyoki jungle me sidhe ped hi sbse pehle kate jate hai, tedhe ped ko koi nhi chhedta.
- Kbhi bhi apne rahsyo ko dusro ko nhi btana chahiye. Yah aadat tmhe brbad kr degi.
- Hr ek dosti ke pichhe ek mtlv ( swarth ) jrur hota hai. Duniya me esi koi v dosti nhi h jiske pichhe koi swarth n chhupa ho. Yah kthin satya hai lekin satya hai.
- Agr koi sap jehrila nhi h to use fufkarna nhi chhodna chahiye. Usi trh kisi bhi kmjor insan ko hr samay apne kmjori ka pradarshan nhi krna chahiye.
- Aaft ke samay pese bchana chahiye aur jb privar pr aaft aaye to us pese ko samrpit kr dena chahiye. Lekin jb khud pr sankt aaye to privar aur pese dono ko kurban kr dena chahiye.
- Chanakya ji k anusar pehle 5 sal bchcho ko bde pyar se palna chahiye uske bad 5 sal thoda dant ke sth rkhna chahiye, Lekin jb bchcha 16 sal ka ho jaye tb usse dosti ka vyavhar krna chahiye.
Writer | Chanakya |
Book Language | Hindi |
Book Size | 4.37 MB |
Total Pages | 379 |
Category | Politics |
Chanakaya Niti PDF in Hindi
Chanakay Niti PDF in English
Buy Hard Copy from Amazon
Donate us for maintenance
Listen this book on Audible
If you’re loving our work Don’t Forget to Donate Us.
-
About Writer
Chanakya ji ka janm ( 376 isa purv- 283 isa purv ) Patliputra me hua tha. Ve Chandragupt Maurya ke Mahamantri the. Ve ‘ Kautilya ‘ ke nam se jyada jane jate hai. Unhone apni siksha Takshila se prapt ki. Bad me ve Takshila me hi aacharya bn gye. Unhone mukhyt Bheel aur Kirat rajkumaro ko prasikshan diya. Unhone Nandvansh ka vinash kr ke Chandragupt ko Raja bnaya. Inke jeevan ki ghatanao ka vishesh smbndh chandragupt maurya ki rajyprapti se hai.
Ye us samay ke ek prasiddh vidvan the, isme koi shk nhi. Kehte hai ki Chanakya Rajsi that-bat se dur ek chhoti si kutiya me rha krte the. Unke dwara rachit granth ‘ Arthsashtra ‘ Rajneeti, Krishi, Smajniti ka mhan granth hai. Arthsastra Maurykalin Bhartiya samaj ka darpan mana jata hai. Chanakya ki mrityu ko lekr 2 kahaniya samne aati hai lekin inme kon si sachchi hai iska koi praman nhi hai.