Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Charak Samhita ( चरक सहिंता ) Hindi PDF – Acharya Charaka

Charak Samhita ayurveda ka ek prasiddh granth hai. Yah sanskrit bhasha me hai jise Atridev Ji Gupt ne anuvad kiya hai. Iske upadeshak Atriputr Punarvasu, Granthakrta Agnivesh aur Pratisanskarak Charak hai. Charak Samhita aur Sushrutsamhita ayurved ke do prachintam aadharbhut granth hai jo kal ke gal me samne se bache reh gye hai. Bharateey chikitsavigyan ke teen bde nam hai – Charak, Sushrut aur vagbhat. Charaksamhita, Sushrutsanhita tatha vagbhat ka ashtangasangrah aaj bhi bharateey chikitsa vigyan (aayurved) ke manak granth hai. 

Charak Samhita ki rachna dusri shatabdi se bhi purv hui thi. Yah aath bhago me vibhakt hai jinhe sthaan nam diya gya hai (jaise, nidanasthan). Pratyek sthan me kyi adhyay hain jinki kul sankhya 120 hai. Isme manav shareer se sambandhit (tatkalin) siddhant, hetuvigyan, anekanek rogo ke lakshan tatha chikitsa varnit hai. CharakSamhita me bhojan, svachchhata, rogo se bchne ke upay, chikitsa-shiksha, vaidy, dhay aur rogi ke vishay me vishad charcha ki gyi hai.

Prachin vanmay ke parishilan se gyat hota hai ki un dino granth ya tantr ki rchna shakha ke nam se hoti thi. Jaise kath shakha me kathopanishad bni. Shakhaye ya charan un dino ke vidyapith the. Jaha anek vishayo ka adhyayan hota tha. At: sambhav hai, Charak Samhita ka pratisanskar Charak sakha me hua ho. Chikitsa vigyan jb shaishavavastha me hi tha us samay Charak Samhita me pratipadit aayurvediy siddhant atyant shreshth evam gambhir the. Iske darshan se atyant prabhavit aadhunik chikitsa vigyan ke aachary pradhyapak aasalar ne charak ke nam se America ke New York nagar me 1898 me charak-klab sansthapit kiya jaha Charak ka ek chitr bhi lga hai.

Download Charak Samhita Book

Aachary Charak aur aayurved ka itna ghanishth sambandh hai ki ek ka smran hone pr dusre ka apne aap smran ho jata hai. Aachary Charak keval aayurved ke gyata hi nhi the prntu sbhi shastro ke gyata the. Unka darshan evan vichar sankhy darshan evam vaisheshik darshan ka pratinidhitv krta hai. Aachary Charak ne sharir ko vedna, vyadhi ka aashray mana hai. Aayurved shastr ko muktidata kaha hai. Aarogyta ko mahan sukh ki sangya di hai. Kaha hai ki aarogyta se bal, aayu, sukh, arth, dharm, kaam, moksh ki prapti hoti hai.

Aachary Charak Samhita nirman ke sath-sath van-van, sthan-sthan ghum-ghumkr rogi vyakti ki, chikitsa seva kiya krte the tatha isi kalyankari kary tatha vicharan kriya ke karan unka nam Charak prasiddh hua.
 

Is pustak ka kul size 24 MB hai aur kul pristho ki sankhya 639 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

Translated byAtridev Ji Gupt
Book LanguageHindi
Book Size24 MB
Total Pages639
CategoryAyurveda

Download Part – 01   
Download Part – 02  
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon  
Listen this book on audible

Leave a Comment