Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Eat That Frog ( सबसे मुश्किल काम सबसे पहले ) Hindi PDF – Brian Tracy

Eat That Frog ( Sabse Mushkil Kam Sabse Pehle ) namak pustak Brian Tracy dvara likhit ek Self Help book hai. Jisme km samay me jyada kam krne aur talmatol chhodne ke 21 behtrin trike btaye gye hai. Apna sabse mahatvpurn kam pr ekagrta se dhyan kendrit krne. Use achhi tarah se puri tarah krne ki kabiliyat yah pustak sikhati hai. Brian Tracy ki pustak Eat That Frog ka hindi anuvad sabse mushkil kam sabse pehle hai. Eat That Frog paschim me prachlit ek kahavat pr aadharit hai. Yha Mendhak aapke sabse mushkil aur mahatvpurn kam ka pratik hai. Jisme aapke talmatol krne ki aashanka sabse jyada rhti hai. Is mendhak ko nikalna ek tarah se talmatol chhodkr anushasit dhang se kam pura krna.

Eat That Frog ( सबसे मुश्किल काम सबसे पहले ) Summary :

Lekhak ka manna hai – Khushi, Santushti, Mahan saflta, Vyaktigat Shakti aur Prabhav karita prapt krne ka trika yah hai ki hr din kam shuru krne ki aadt dale. Hr kathin aur mahtvpurn kam ko pura kiya ja skta hai. Vyakti ko apne mahatvpurn kam shuru krne ki aadt dal lene chahiye, jisse uski saflta tay ho ske. Brian Tracy ka manna hai ki vyakti ko apne jivan me samay sambandhi aadte sikhni chahiye. Prathmikta tay krne, talmatol chhodne aur apne sabe ahm kam me jutne ki aadt ek manshik aur sharirik kabiliyat hai. Ise bar bar dohrane se apne avchetan man me darj kra skte hai.

Ise apne jeevan ka hissa bna skte hai. Adbhut jivan jine, safal career bnane aur apne bare me achha mahsus ki sbse achha trika hai – Mahatvpurn kam shuru krne v pura krne ki aadt dalna. Ydi har koi yah kr leta hai, to yad vyavhar uske liye khud-b-khud sahaj aur swabhavik hota jayega. Iska prinam yah hoga ki mahatvpurn kamo ko adhura chhodne ke bajay unhe pura krna jyada aasan lgega. lekhak kehata hai. Kisi me bhi nayi yogyataye aadte aur kushalataye sikhne aur nikharne ki lagbhag asimit kshmta hai.

Atah aadmi ko dohrav aur abhyas ke jriye talmatolo chhodne aur mahtvapurn kamo me jut jane ke liye svayan ko prashikshit krna pdega. Lekhak ne pustak me 21 adhyayo me talmatol chhodne aur jyada tezi se kam krne ke tarike btaye gye hai. Jinme lekhak ka kehna hai – Vyakti ko spasht rup se tay krna hota hai ki vah kya chahata hai. Uske pas spasht lakshy hona chahiye likhit lakshy dvara hm prerit hote hai. Kary krne ki disha me aage bdhte hai. Jeevan me 20% gatividhiya 80% parinamo ke lie jimmedar hoti hai isiliye apna dhyan shirsh 20% pr hi kendrit krna chahiye.

Why to Read Eat That Frog ? / सबसे मुश्किल काम सबसे पहले क्यों पढ़ें ?

Eat That Frog ( सबसे मुश्किल काम सबसे पहले ) Brian Tracy dvara likhit ek antarrashtriy best seller book hai. Prastut kitab me btaya gya hai ki mahan kamyabi, uplabdhi, samman, ohade aur jeevan ki sukhi ki kunji kya hai? Sbse mahatvapurn kam me jut jane ki yogyta hi vyakti ke jeevan me safalata lati hai. Yah pustak aapko btati hai ki aap apne career me jyada tezi se aage kaise badh skte hai. Sath hi sath niji jeevan ko sanvarne ke trike btaya gya hai is kitab ka uddeshy vyakti ki utpadkta, pradarshan aur parinamo ko bdhana hai. Pustak me btaye gye 21 tariko ko apnakr jeevan me safalta payi ja skti hai.

Download Eat That Frog ( सबसे मुश्किल काम सबसे पहले ) Book

Is pustak ka kul size 1.25 MB hai aur kul pristho ki sankhya 178 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

WriterBrian Tracy
Book LanguagesEnglish & Hindi
Book Size299 KB & 1.25 MB
Total Pages124 & 178
CategoryMotivational - Books , Self - Help Books

⬇️ Download E-Book For Free

⬇️ Download E-Book For Free

Donate Us

Buy this Book From Amazon

Listen this Book on Audible

About Author

Brian Tracy 1944 me janme ameriki aatm – sudhar vakt va lekhak hai. Inki 70 se adhik pustke prakashit ho chuki hai. Jinme Earn What You’re Really Worth, Eat That Frog!, And The Psychology of Achievement aadi hai. Unhone Brian Tracy International namak ek sansthan bnaya hai. Jo ki ek prashan sansthan hai aur yah 22 desho me kam kr rha hai. Apko duniya ke shirshasth business speakers me gina jata hai.

Leave a Comment