Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Ghat Ramayan (घट रामायण) Hindi PDF – Tulsidas

Ghat Ramayan Hindi Book – Sant Tulasi Sahab krit ‘Ghat Ramayan’ 19vi sdi ki vah adbhut krti hai, jo ek bar punah us yug me vyapt sampurn dharmik aadambaro ko puri pratibaddhta ke sath vinasht krke pathko me param tatv ke gyan ke prati nyi smjh utpann krti hai. Sant mt ki saiddhantik sadhna ke gudh marm me pravesh krke usse sambaddh rahsyo ki vyakhya. Yha tarkik, spasht, marmsparshi tatha bodhgamy bnakr samjhna is kriti ka mul mantavy hai.

Sant mt ke rahsypurn tatha atyant gambhir vishay pind me samgrad ka khula tatha marmsparshi vivechan is rchna ka vishay hai. Kintu usi ke sath-hi-sath lok me vyapt dharmik aadambaro ke vividh paksho ka tarkpurn khandan yah spasht krta hai. Ki yah krti keval siddhant paksh hi nhi, lok ko uska vastavik gyan krane ke liye uske vyavhar paksh pr bhi bl deti hai.

Yah krti apne samsamayik yug hi nhi vartman samaj ke liye bhi gyan ka vah prkash hai. Jo dharm, jeevan, upasna evam aadhyatmik sadhnamarg pr bhatak rhe hm bharatiyo ke liye sanmarg dikhane ke prati sankalpbaddh hai. Yah krti is arth me aaj aadhyatmik gyanmarg ki apratim uplabdhi hai kyonki aadmbar, andhvishvas tatha samaj me dharmik aacharan ke nam pr bhatkte hue. Samaj ko sarvtha vishvas, aatmbodh evam prapancho se mukt hone ki samjh deti hai.

Aadhyatmik sadhna tatha bharateey dharmik lokjeevan ki rachna ka adbhut samanvay se sanyukt yah krti. Aaj na keval bharatiya adhyatmak parmpra ki ek gambhir sakshy hai. Apitu samaj ke lie marg darshan ka bhi kary krti hai. Aasha hai, dharmik manyatao se tute hue tatha aadambarpurn aacharan me sampurn vartman bharatiy samaj ke lie. Yah krti svayam me ek siddhidatri gyanlokmayi prakash pratima siddh hogi.

Is pustak ka kul size 6 MB hai aur kul pristho ki sankhya 130 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi. 

WriterTulsidas Hathras wale
Book LanguageHindi
Book Size6 MB
Total Pages130
CategoryReligious-Hinduism

Download Part-01 Free 
Download Part-02 Free 
Buy this book from Amazon 
Donate us for maintenance
Listen this book on Audible 

 

Leave a Comment