Hindi Kahani ka itihas Bharat me sadiyo purana hai. Prachin kal se hi kahaniya Bharat me boli, suni aur likhi ja rhi hai. Ye kahaniya hi hai jo hme himmat se bhar deti hai aur ham asambhav kary ko bhi krne ko taiyar ho jate hai aur atyant kathinaiyo ke bavjud jyadatar kary pure bhi hote hai Shiv Ji Maharaj ko unki mata ne kahani suna sunakr itna mahan bna diya ki Shiva Ji Maharaj Chhatrapati Shiva Ji Maharaj ban gye. Hindi Sahity ki pramukh kathatmak vidha hai.
Aadhunik Hindi kahani ka aarambh 20vi sadi me hua. Pichhle ek sadi me Hindi kahani ne aadarshvad, aadarshvad, yatharthvad, pragativad, manovishleshanvad, aanchalikta, aadi ke daur se gujrte hue sudirgh yatra me anek uplabdhiyan hasil ki hai. Nirmal Verma ke ve din jaise kahani sangrah sahity akadami se bhi sammanit ho chuke hai. Premachand, Jainendr, Agyey, Yashapaal, Phanishwar Nath Renu, Usha Priyamvada, Mannu Bhandari, Gyan Ranjan, Uday Prakash, Om Prakash Balmiki aadi hindi ke pramukh kahanikar hai.
Pehli Kahani
Book Writer | Surendra Chaudhary |
Book Language | Hindi |
Book Size | 3 MB |
Total Pages | 186 |
Category | Stories |