Aajadi ke 50 varsh bad bhi hmare desh me Ladakiyo aur Aurato ko dusre darje ka insan mana jata hai. Beti paida hone pr khushi nhi hoti, unhe pura pyar, dekharekh, khana-pani, dva daru nhi diya jata. Kehte hai na, Bete ko makkhan, beti ko chhachh. kahi-kahi to Beti ko paida hone se pehle ya paida hote hi mar diya jata hai. Parivar ke andar is tarah ka bhedbhav, anyay ho yah bahut hi ajib bat hai kyonki is tarah ke bhedbhav se sirf ladkiyo aur aurto ko hi nuksan nhi hota, Pure parivar aur samaj ko nuksan hota hai. Ghar ke aadhe log sehatmand, pdhe-likhe va khushhal hon aur aadhe kamjor, adh-pdhe va bujhe-bujhe ho to ye vaisa hi hai jaise kisi kisan ka aadha khet lahlahata ho aur aadhe ki fasal murjhayi ho, khrab ho.
In halato ko badlna jruri hai aur bdlne ke liye inhe samjhna jruri hai. Kuchh logo ka manna hai ki kudrat ne hi aurat-mard me asmanta paida ki hai. Kya yah sach hai, ya yah sach hai ki ye fark aur bhedbhav samaj ke bnaye hai? Kya ladke-ladki ke taur-tarike, pasand-napasand, unke hunar aur unke raste kudrat ke rche hai, ya hmare rche hai?
Is pustak ka kul size 255 KB hai aur kul pristho ki sankhya 21 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Writer | Kamala Bhasin |
Book Language | Hindi |
Book Size | 255 KB |
Total Pages | 21 |
Category | Child Books |