Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Madhya Pradesh Ka Itihas ( मध्यप्रदेश का इतिहास ) PDF – Raybahdur, Heeralal

Madhya Pradesh ka itihas purapashaan yug ke samay se hi shuruat me aa gya tha. Ise mukhyat: tin avadhiyo me vibhajit kiya ja skta hai. (1) Pashan Yug, (2) Vaidik Kal, (3) Bhil samrajya.

Pashan Yug

Bheema baithika ki gufaye vartman ke Madhya Pradesh me pileolithik bastiyo ke prman prastut krti hai. Narmda nadi ghati ke vibhinn sthano pr pashan yug ke kyi upkaran paye gye hai. Eran, Kayath, Maheshvar, Nagda aur Navadatoli sahit kyi jagho pr tamrayugin sthano ki khoj ki gyi hai. Kyi sthano par lagbhag 30,000 isa purv ke gufa chitro ki khoj ki gyi hai. Vartman Madhya Pradesh me manushyo ki bastiyan mukhy rup se narmda, chambal aur Betva jaise nadiyo ki ghatiyo me vikasit hui hai.

Vaidik Kal

Prarambhik Vaidik Kal ke dauran, vindhy parvato ne indo-aaryan kshetr ki dakshini sima ka gathan kiya tha. Prachintam prachalit Sanskrit path Rigved me, Narmda nadi ka ullekh nhi milta hai. Chauthi sdi eesapurv vyakaranik panini ne Madhya Bharat me avanti janpad ka ullekh kiya. Isme Narmda ke dakshin me bse keval ek kshetr Ashmka ka ullekh hai. Bauddh path angutara nikaiya ne solah mahajanpado ka nam diya, jinme se avanti, chedi aur vats me Madhya Pradesh ke kuchh hisso aate hai. Mahavastu ne purvi Malva kshetr me ek any dasharn namak rajy ka ullekh kiya tha. Pali bhasha me likhit Bauddh lekho me Madhya Bharat me Ujjayini, Vidisha aur Mahishmati sahit kyi mahatvpurn shaharo ka ullekh hai.

Aadivasi Itihas

Madhya Pradesh ek aadivasi bahuly rajy hai. Madhya Pradesh ke Bheel aur Gond rajao ne is rajy ke ek bde hisse pr shasan kiya. Bheel janjati ne Madhya Bharat ke bde bhu bhag par apna shasan kayam kiya aur kyi kshetro ko bsaya.

Is pustak ka kul size 4.21 MB hai aur kul pristho ki sankhya 132 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

Book WriterRaybahadur, Heralal
Book LanguageHindi
Book Size4.21 MB
Total Pages132
CategoryHistory

Download Free E-Book
Donate us for maintenance
Buy this book from Amazon  
Listen this book on Audible

1 thought on “Madhya Pradesh Ka Itihas ( मध्यप्रदेश का इतिहास ) PDF – Raybahdur, Heeralal”

Leave a Comment