-
Kahani ke kuchh ansh
Maila Aanchal ka nayak ek yuva doctor hai jo apni sikhsha puri krne ke bad ek pichhde gav ko apne kary-kshetra ke rup me chunta hai. Karya aarambha krta hai. Isi kam me gramin jivan ka pichhdapan, dukh-dianya, kmi, agyanta, andhviswasta ke sath tarah-tarah ke samajik shosan-chkro me fsi hui. Janta ki pidao aur snghrsho se bhi uska sakshatkar hota hai. Katha ka ant is aashamay sanket ke sath hota hai ki yugon se soi hui gram-chetna teji se jag rhi hai.
Writer | Phaniswar Nath 'Renu' |
Book Language | Hindi |
Book Size | 11.32 MB |
Total Pages | 399 |
Category | Literature |
Download Free Book
Buy Hard Copy From Amazon
Listen this book on Audible
-
About Writer
Phaniswar Nath Renu ka janm 4 March 1921 ko Bihar ke Arariya jile me forbisganj ke pas Aurahi Hingna ganv me hua tha. Us samay yah Purniya jile me tha. Unki shiksha Bharat aur Nepal me hui. Prarmbhik shiksha forbisganj aur Arariya me puri krne ke bad Renu ne metric Nepal ke Virat nagar aadarsh vidyalay se Koirala parivar me rahkr ki. Inhone inter-mediate Kashi Hindu Vishv vidyaalay se 1942 me ki jiske bad ve svatantrata sangram me kud pde.
Bad me 1950 me unhone Nepali krantikari aandolan me bhi hissa liya jiske prinam me. Nepal me jantantra ki sthapna hui. Patna vishv vidyalay ke chhatro ke sath chhatr sanghrsh smiti me sakriy rup se bhag liya aur Jayprakash Narayan ki sampurn kranti me aham bhumika nibhayi.