Matsya Puran Hindi Book me bhagwan Shree Hari ke matsy avatar ki mukhy katha ke sath anek tirth, vrat, yagy, dan aadi ka vistrt varnan kiya gya hai. Isme jal pralay, matsy va manu ke sanvad, rajdharm, tirthyatra, dan mahatmy, prayag mahatmy, kashi mahatmy, narmda mahatmy, murti nirman mahatmy evan tridevo ki mahima aadi par bhi vishesh prakash dala gya hai. chaudah hajar shloko vala yah puran bhi ek prachin granth hai.
Is puran ke anusar matsya (machhli) ke avtar me Bhagwan Vishnu ne ek rishi ko sb prkar ke jeev-jantu ekatrit krne ke liye kaha aur prithvi jb jal me dub rhi thi, tb matsy avtar me bhagwan ne us rishi ki nanv ki raksha ki thi. Iske pashchat brahma ne punah jeevan ka nirman kiya. Ek dusri manyta ke anusar ek rakshas ne jb vedo ko chura kar sagar me chhupa diya, tab bhagwan vishnu ne matsy rup dharan krke vedo ko prapt kiya aur unhe punah sthapit kiya.
Is pustak ka kul size 111.74 MB hai aur kul pristho ki sankhya 748 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Writer | Shree Rampratap Tripati Shastri |
Book Language | Hindi |
Book Size | 111.74 MB |
Total Pages | 748 |
Category | Religious-Hinduism |
Download Free E-Book
Donate us for maintenance
Buy this book from Amazon
Listen this book on Audible