Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Napoleon Bonaparte Ka Jivan Charitra ( नेपोलियन बोनापार्ट का जीवन चरित्र ) Hindi PDF – Munshiram Jigyasu

Napoleon Bonaparte (Janm ka nam Napoleon de Bonaparte) ka janm 15 August 1769 me hua tha. Ve France ki kranti ke mukhay senapati, 11 November 1799 se 18 May 1804 tk pratham consul ke rup me shasak aur 18 May 1804 se 6 April 1814 tk Nepoleon ke nam se samrat rha. Vah punah 20 March se 22 June 1815 me samrat bna. Vah Europe ke any kyi kshetro ka bhi shasak tha. Nepoleon itihas ke sbse mhan senaptiyo me se ek hai. Unhone France me ek nyi vidhi lagu ki jise Nepoleon ki sanhita kaha jata hai.

Vah itihas ke sbse mhan vijetao me se ek the. Uske samne koi ruk nhi pa rha tha. Jb tk ki usne 1812 me Russia pr aakraman nhi kiya. Jaha sardi aur vatavaran se uski sena ko bahut kshati pahunchi. 18 June 1815 Waterloo ke yuddh me parajay ke pashchat angrejo ne use andh mahasagar ke dur dveep St. Helena me bandi bna diya. Chhah varsho ke ant me vha usaki mrtyu ho gyi. Kyi itihaskaro ke anusar angrejo ne use arsenic ka jeher dekr mar dala.

Origin and Education

Napoleon Carsica aur France ke ekikaran ke agle varsh hi 15 August 1769 E ko Ajaccio me paida hua tha. Uske pita Charles Bonaparte ek chirakalin kulin parivar ke the. Unka vansh Carsica ke samipasth Italy ke Tuscany pradesh se sambhut btaya jata hai. Charles Bonaparte French darbar me Carsica ka pratinidhitv krte the. Unhone Laetitia Ramolino nam ki ek ugr swabhav ki sundri se vivah kiya tha jisse Nepoleon paida hua. Charls ne French shasan ke viruddh Carsica vidroh me bhag bhi liya tha, kintu antat: French shakti se samy sthapit krna hi shreyaskar smjha.

Early Career

Balyavastha me hi sare parivar ke bharan poshan ka uttaradayitv komal kandho pr pd jane ke karan use vatavaran ki jatilata evam uske anusar vyavhar krne ki kushalta mil gyi thi. Atev French kranti me uska pravesh yugantarkari ghatanao ka sanket de rha tha. France ke vibhinn vargo se sampark sthapit krne me use koi sankoch ya hichakichahat nhi thi. Usne Jacobin dal me bhi pravesh kiya tha. 20 June ke Tuileries ke adhikar ke avasar pr use ghatanao se pratyaksh parichay hua tha. France ke rajatantr ki durdasha ka bhi use purn gyan ho gya tha. Yhi se Nepoleon ke vishal vyaktitv ka aavirbhav hota hai.

Is pustak ka kul size 20 MB hai aur kul pristho ki sankhya 257 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

WriterMunshiram Jigyasu
Book LanguageHindi
Book Size20 MB
Total Pages257
CategoryHistory

⬇️ Download E-Book For Free

Donate Us

Buy this Book From Amazon

Listen this Book on Audible

Leave a Comment