Ganit aisi vidyao ka samuh hai jo sankhyao, matrao, parimano, rupo aur unke aapsi rishto, gun, svabhav ityadi ka adhyayan krti hai. Ganit ek amurt ya nirakar (Abstract) aur nigamanatmak pranali hai. Ganit ki kyi shakhaye hai : Ankganit, Rekhaganit, Trikonmiti, Sankhyiki, Beejganit, Kala, ityadi. Ganit me abhyast vyakti ya khoj krne vale vaigyanik ko ganitagy kehte hai. Manav gyan ki kuchh prathmik vidhao me sambhavtya Ganit bhi aata hai aur yah manav sabhyta jitna hi purana hai.
Manav jeevan ke vistar aur isme jatiltao me vrddhi ke sath Ganit ka bhi vistar hua hai aur uski jatiltaye bhi bdhi hai. Sabhyta ke itihas ke pure daur me gufa me rehne vale Manav ke saral jeevan se lekr aadhunik kal ke ghor jatil evam bahuayami manushy tk aate-aate manav jeevan me dhire-dhire parivartan aaya hai. Iske sath hi manav gyan-vigyan ki ek vyapak evam samrddh shakha ke rup me Ganit ka vikas bhi hua hai.
Class 11th ke ganit pustak me aapko nimn sakhaye aati hai
1. सम्मुचय – Set
2. सबंध एवं फलन – Relation & Function
3. गणितीय आगमन – Mathematical Arrival
4. लघुगणक – Logarithm
5. सम्मिश्र संख्याएँ – Complex Number
6. रैखिक असमीकरण – Linear Equation
7. द्विघातीय समीकरण – Quadratic Equations
8. अनुक्रम एवं श्रेणी – Sequence and Series
9. त्रिकोणमितीय फलन – Trigonometric Function
10. कार्तीय समकोणिक निर्देशांक निकाय – Cartesian Right Angular Coordinate System
11. सरल रेखा और सरल रेखा-कुल – Straight Line and Straight Line-Total
Is pustak ka kul size 9 MB hai aur kul pristho ki sankhya 435 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Writer | Hukum Singh |
Book Language | Hindi |
Book Size | 9 MB |
Total Pages | 435 |
Category | Educational |
Download Free E-Book
Donate us for maintenance
Buy this book from Amazon
Listen this book on Audible