Bible, Isaai ( Christian ) dharm ki aadharshila aur isaiyo ( Christians ) ka sbse pavitrtm dharm granth hai. Prachin kal me Bible ka sirf ek hi bhag tha kintu aaj ke kuchh viwano ke anusar Bible do bhago me bt gya hai. Iske do bhag hai : Purvavidhan (Old Testament ) aur nvavidhan (New Testament). Bible ka purv me rhne wale Yahudiyo ka bhi dharm granth hai aur uttar me rhne wale yahudi Isa-Maseeh aur unki shikshao pr aadharit hai. Biblel Ishvar prerit (God inspired) hai kintu Ishvar ne Bible ke vibhin lekhko ko is prkar prerit kiya hai ki ve Isharkrit hote hue bhi unki apni rchnaye bhi kahi ja skti hai.
Vidwano ke anusar Ishvar ne bolkr unse Bible nhi likhvayi ve avashy hi Ishvar ki prerna se likhne me prerit hue kintu unhone apni sanskrti, shaili aur vichardhara ki visheshtao ke anusar hi use likha hai. Bible ishvariya prerna aur manviy mehnt dono ka prinam hai.
-
Purana Niyam
-
Nya Niyam
Ye Isa-Maseeh ke bad ki hai, jise Maseeh ke shishyo ne likha tha. Isme Isa (Yeeshu) ki jivani, updesh aur shishyo ke kary likhe gye hai. Iski bhasha kuchh Arami aur adhiktr bolchal ki prachin Greek thi. Isme khas taur pr char shubh sandesh (subh samachar) hai jo Isa ki jivani ka unke char shishyo ke nam se kisi aur ke dvara vrnan hai : Matti, Luka, Yuhnna aur Markus.
-
Samagri
Purvavidhan ki Samagri
-
Etihasik granth – Pentatuk, Josu ya Joshua, Judge, Ruth, Samuel, King, Antiquarian (Parliomenon), Ezra (Astras), Nehemia, Esther, Tobias, Yudith, Macabi.
- Shiksha pradhan granth – Iyayov, Shrot, Kahavat, Updeshak, Behtar Geet, Gyaan, Alchestiastikas Athana Sirah.
-
Nabis ke granth – Yeshoi, Jeremiah, Vilapgeet, Baruh, Ezekiel, Daniel, Barah Gaun Nabi arthat Osea or Hosea, Joel, Yoel Amos, Obadah, Jonah, Mikaye, Nahum, Habakuk, Sophonia, Hazai Zakaria, Malaci.
Navavidhan ki Samagri
Navavidhan ke pratham panch granth Eitihasik hai arthat charo subh smachar (gaspail) aur (Isa) ke pat shishyo ke kary. Antim granth epokaalips kehlata hai. Isme subh smachar lekhak Saint Yohan pratikatmak shaili me church ke bhvishy aur Muktividhan ki priniti ka chitr ankit krte hai. Navavidhaan ke shesh 21 granth shiksha pradhan hai, arthaat sant pal ke 14 patr, Saint Peter ke do patr, subh smachar lekhk Saint Yohan ke tin patr, Saint Yakub aur Saint Jud ka ek-ek patr Saint Paul ke putr ya to kisi sthan vishesh ke nivasiyon ke liye likhe gye hai. Ibraniyo ke nam jo patr Bible me sammilit hai, Inki pramanikta ke vishay me koi shk nhi hai kintu Saint Paul ke vicharo se prabhavit hote hue bhi inka lekhak koi dusra hi hoga.
-
Bhasa aur Rachnakal
Purvavidhan ki mul bhasha Ibrani hai. Anek granth Yunani bhasha me tatha thode se ansh Arameyik (Ibrani bolchal) me likhe gye hai. Samst Navavidhan ki bhasha Koiney namak Yunani bolchal hai.
Writer | Unknown |
Book Language | Hindi |
Book Size | 20.34 MB |
Total Pages | 428 |
Category | Religiuos - Christian |