Prithviraj Raso rasak parmpra ka ek kavy hai. jaisa iske nam se hi prakat hai. Delhi ke antim hindu samrat Prithviraj ke jeevan ki ghatnao ko lekar likha gya Hindi ka ek granth jo Chand Bardai Rao ka likha mana jata rha hai. Pehle is kavy ke ek hi rup se Hindi jagat parichit tha. Jo sanyog se rachna ka sbse adhik vishal rup tha, isme lagbhag gyarah hajar rupak aate the. Uske bad rachna ka ek usse chhota rup kuchh pratiyo me mila. Jisme lagbhag sadhe tin hajar rupak the. Uske bhi bad ek rup kuchh pratiyo me prapt hua jisme kul rupkasankhya barah sau se adhik nhi thi. Tadanantar do pratiya uski aisi bhi prapt hui jinme kramsha char sau aur sadhe panch sau rupak hi the.
Ye sbhi pratiya rachna ke vibhinn purn rup prastut krti thi. Rachna ke kuchh khando ki pratiya bhi prapt hui hai. Jinka sambandh upryukt pratham do rupo se rha hai. At: svabhavtah yah vivad utha ki upryukt vibhinn purn rupo ka vikas kis prakar hua. Prithviraj Raso Hindi bhasha me likha ek Mahakavy hai jisme Prithviraj Chauhan ke jeevan aur charitr ka varnan kiya gya hai. Iske rachayita Chand Bardai Prithviraj Raso ke bachpan ke mitr aur unke raj kavi the aur unki yuddh yatrao ke samay veer ras ki kavitao se sena ko protsahit bhi krte the. 1165 se 1192 ke bich Prithviraj Chauhan ka rajy Ajmer se Delhi tk faila hua tha.
Is pustak ka kul size 21.7 MB hai aur kul pristho ki sankhya 470 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Writer | Chand Bardai |
Book Language | Hindi |
Book Size | 21.7 MB |
Total Pages | 470 |
Category | History |