Rajatarangini, kalhan dvara rachit ek sanskrit granth hai. Rajatarangini ka shabdik arth hai – rajao ki ndi, jiska bhavarth hai – rajao ka itihas ya samay-pravah. Yah kavita ke rup me hai. Isme Kashmir ka itihas varnit hai jo Mahabharat kal se aarambh hota hai. Iska rachna kal san 1147 se 1149 tk btaya jata hai. Is pustak ke anusar Kashmir ka nam “Kashyapameru” tha jo brahma ke putr rshi Marichi ke putr the. Rajatarangini ke pratham tarang me btaya gya hai ki sbse pehle Kashmir me pandvo ke sbse chhote bhai sahadev ne rajy ki sthapna ki thi aur us samay Kashmir me keval vaidik dharm hi prachalit tha. Fir san 273 isa purv Kashmir me bauddh dharm ka aagman hua.
Sanrachna
Rajatarangini me aath tarang aur sanskrit me kul 7826 shlok hai. Is pustak ke pratham tin adhyay Kashmir ki pidhi-dar-pidhi se aa rhi maukhik parmparao ka chitran hai. Agle teen adhyay bhi itivrttatmak hi hai. Keval antim do adhyay Kalhan ki vyaktigat jankari evan granthavlokan pr aadharit hai.
Is pustak ka kul size 28 MB & 20 MB hai aur kul pristho ki sankhya 305 evam 393 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi
Writer | Kalhan, Durgaprasad |
Book Language | Sanskrit |
Book Size | 28 MB & 20 MB |
Total Pages | 393 & 305 |
Category | Religious - Hinduism |