Abhang Hindi Book Vitthal ya vithoba ki stuti me gaye gye chhando ko kehte hai. Maharashtr ke varkari samprday ke santo ne 13v sdi ke dauran samaj me alakh jgane ke jo chhand kshetriy bhasha me gaye, unhe Abhang ke nam se jana jata hai. Yah ek prkar se hindi ke chhand ki tarah hai. Mote aur par chhand ke ulat, abhang me matrao ke sthan pr aksharo ki sankhya gini jati hai. Aksharo ki sankhya ka palan kathorata se nhi kiya jata balki, yon kehna sahi hoga ki uchcharan kee suvidhanusar aksharon ki sankhya km-jyada ho skti hai.
Abhang do prkar ke hote hai – char charano ke aur do charano ke. char charano vale abhang ki pratham tin charano me 6-6 akshar hote hain jbki antim charan me char. Iske sath hi dusre aur tisre charano me yamak ka put hota hai. Rhi bat chautha charan ki to vah abhang ko purnt prdan krta hai.
Is pustak ka kul size 48 MB hai aur kul pristho ki sankhya 187 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Writer | Madhav Chandroba |
Book Language | Marathi |
Book Size | 48 MB |
Total Pages | 187 |
Category | Marathi Books |
Download Free E-Book
Buy Hard Copy from Amazon
Read this book Online
Listen this book on Audible