Rangbhumi, Katha samrat Premchand (1880-1936) ka pura sahity, Bharat ke aam janmans ki gatha hai. Vishay, manviya bhavna aur samay ke anant vistar tk jati inki rchnaye itihas ki simao ko todati hain, Aur kaljayi krtiyo me gini jati hai. Rangbhumi (1924-1925) upnyas aisi hi krti hai. Naukrshahi aur Punjivad ke sath jansngharsh ka tandav; saty, nishtha aur ahinsa ke prti aagrah, gramin jeevan aur stree dudrsha ka bhayavah chitr yha ankit hai. Partntra Bharat ki samajik, rajanitik, dharmik aur aarthik samasyao ke bich rashtriyta ki bhavna se paripurn yah upnyas lekhk ke rashtriy drshtikon ko bahut uncha uthata hai. Desh ki navin avshyktaon, aashao ki purti ke liye sankinrta aur vasnao se upr uthkar niswarth bhav se desh seva ki aavashykta un dino siddat se mehsus ki ja rhi thi.
Rangbhumi ki puri katha inhi bhavnao aur vicharo me vicharti hai. Katha ka nayak Surdas ka pura jevankram, yha tk ki uski mrityu bhi rashtrnayak ki chhavi lgti hai. Puri ktha Gandhi darshan, nishkam karm aur saty ke avlmbn ko rekhankit krtee hai. Yah sangrhniy pustak kyi artho me Bharatiya Sahity ki dharohr hai. Kahani me Surdas ke alwa Sofi, Vinay, Jaun sevak, Prabhu sevak ka kirdaar bhi eham hai. Sofi misses Jaun sevak, Tahir Ali, Rani, Doctor Ganguli, Clerk, Raja Sahab, Indu, Ishwar sevak, Raja mahendr kumar singh, Nayakram ghisu, Bajrangi, Jamuni, Janvi, Thakurdin, Bhairo jaise kyi kirdar hai.
-
Upnyas ka Saransh
Godam ke Picche ki or ek vistrt maidan tha. Yha aas-pas ke janvar chrne aaya krte the. Jaun sevak yah jamin lekr yha cigarette bnane ka ek karkhana kholna chahte the. Jamin Surdas ki hai. Vah apni jamin cigarette ka karkhana lgane ke liye nhi dena chahta. use kyi tarah ka lalch diye jate hai lekin vah jamin dene ko raji nhi to kya Jaun sevak bina karkhana lgaye hi chle jate hain? Ya Surdas se jbrn jamin chhin jati hai? Kya ganv vale Surdas ka samathn krte hai ya use akele hi jung ldni pdti hai? Kahani ke dusre pnne me Isai ldkee Sofia Vinay singh se prem kr baithati hai. Jatpratha ke us daur me Sofia-Vinay ka pyar saphal ho pata hai? Yah to aapko kahani pdhne se hi pta lgega.
Is pustak ka kul size 56.85 MB hai aur kul pristho ki sankhya 573 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Writer | Munshi Premchand |
Book Language | Hindi |
Book Size | 56.85 MB |
Total Pages | 573 |
Category | Literature |
Download Free Hard Copy
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon
Listen this book on audible