Ratna Parichay prakrti ke dwara diya gya ek mulyavan dhan hai. Lakho vrsho se bhi purv se manushya ratno ki or aakarshit hota rha hai, aj vartman me bhi hai aur bhavishy me bhi rhega. Ratna suvasit, chittakrshk, chirasthayiv durlbh hone aur apne adbhut prbhav ke karn bhi manushy ko apne mohpash me bandhe hue hai. Ratna aabhushano ke rup me sharir ki shobha to bdhate hi hai, sath hi apni daiviy shkti ke prbhav ke karn rogo ka nivarn bhi krte hai. Ratno me chirasthayitv ka aisa gun hai ki ye mausam ke bdlne ke karn aur samay-samay pr prkrti ke bhishan uthal-puthal se tahas-nahas hone ke karan bhi prabhavit nhi hote.
-
Ratno ka Vargikaran
Ratno ko hm 3 bhago me vibhajit kr skte hai.
1. Pranij Ratna
Pranij Ratna ve ratna hote hai jo praniyo ke sharir se prapt hote hai. Jese – Gajmukta, Munga aadi.
2. Vanspatik Ratna
Vanspatik Ratna ve ratna hote hai jo kisi vanspatiyo ki vishes kriyashilta se uttpann hote hai. Jese – Vanshlochan, Trinmani, Jet aadi.
3. Khanij Ratna
Ve Ratna jo prakrtik rachnao se prapt kiye jate hai.
‘Ratna Parichay’ shabd aadhunik yug ya madhyakalin yug ki den nhi apitu ati prachin yug ki den hai, kyoki rigved vishv ka ati prachin granth hai. Rigved me bhi ratno ka ullekh kiya gya hai.
Is pustak ka kul size 6.1 MB hai aur kul pristho ki sankhya 162 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Writer | Harishchandra Vidyalankar |
Book Language | Hindi |
Book Size | 6.1 MB |
Total Pages | 162 |
Category | Astrology |
Download Free Hard Copy
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy From Amazon
Listen this book on audible
Read more Astrology books.