Shiv Puran Hindi PDF – Ek pramukh tatha suprasiddh puran hai, jisme paratmapar parbrahm parmeshvar ke ‘Shiv’ (Kalyankari) svarup ka tattvik Vivechan, Rahasy, Mahima evan upasna ka suvistrt varnan hai. Bhagwan Shivmatr pauranik devta hi nhi, apitu ve panchdevo me pradhan, anadi siddh parmeshvar hai. Evan nigamagam aadi sbhi shastron me mahima mandit Mahadev hai. Vedo ne is parmatattv ko avyakt, ajanma, sbka karan, vishvpanch ka srashta, palak evan sanharak kahkar unka gungan kiya hai.
Shrutiyo ne sda Shiv ko svayambhu, Shant, prapanchatit, paratpar, parmatattv, ishvaro ke bhi param maheshvar kahkar stuti ki hai. Is puran ke anusar yah puran param uttam shastr hai. Ise is bhutal pr bhagvan shiv ka vanmay swarup samjhna chahiye aur sb prkar se iska sevan krna chahiye. Iska pathan aur shravan sarvsadhanrup hai. Isse shiv bhakti pakar shreshth tam sthiti me pahuncha hua manushy shighr hi shivpad ko prapt kr leta hai.
Isliye sampurn yatn krke manushyo ne is puran ko pdhne ki ichchha ki hai- athva iske adhyayan ko abhisht sadhan mana hai. Isi tarah iska prempurvak shravan bhi sampurn manovanchhit phalo ke dene vala hai. Bhagvan shiv ke is puran ko sunne se manushy sab papo se mukt ho jata hai tatha is jeevan me bde-bde utkrsht bhogo ka upbhog krke ant me shivlok ko prapt kr leta hai.
Yah shivpuran namak granth 24 hajar shloko se yukt hai. Sat sanhitao se yukt yah divy shivpuran parbrahm parmatma ke saman virajman hai aur sabse utkrsht gati pradan krne vala hai.
Is pustak ka kul size 94.48 MB hai aur kul pristho ki sankhya 1086 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Writer | Pt. Pyarelal Ruggu |
Book Language | Hindi |
Book Size | 94.48 MB |
Total Pages | 1086 |
Category | Religious |
Download Free E-Book
Donate us for maintenance
Buy this book from Amazon
Listen this book on Audible
Read More Religious Book.