Valmiki Ramayan sanskrit sahity ka ek aarambhik Mahakavy hai jo sanskrit bhasha me anushtup chhando me rachit hai. Isme Shree Ram ke charitr ka uttam evam vrihad vivran kavy rup me upasthapit hua hai. Maharshi Valmiki dvara rachit hone ke karan ise Valmikiy Ramayan kaha jata hai. Vartman me Ram ke charitr pr aadharit jitne bhi granth uplbdh hai un sbhi ka mul Maharshi Valmiki krit Valmikiy Ramayan hi hai. Valmikiy Ramayan ke prneta Maharshi Valmiki ko aadikavi mana jata hai aur isiliye yah Mahakavy aadikavy mana gya hai. Yah Mahakavy Bharatiy sanskrti ke mahattvpurn aayamo ko pratibimbit krne vala hone se sahity rup me akshay nidhi hai.
Kathavastu
Valmikiy Ramayan ki kathavstu Ram ke charo or apna tana-bana bunti hai. Ram is Mahakavy ke nayak hai aur Maharshi Valmiki ne unke charitr ko ek atimanav ke rup me chitrit kiya hai. Ishvariya vishishtta aur asadharan guno ke swami hote huye bhi Ram apne kisi bhi kriya-klap se manavetar pratit nhi hote, unka charitr purshottam ke rup me hi kiya gya hai. Shatruo ka sanhar krte Vaishnvi shakti ka prayog hua hai. Sagar pr setu nirman ke liye Vaishnavi shakti prayog hua hai. Lakshman ki murchha dur krne me Hanuman ka prtap hai. Sampurn mahakavy me Ram manushyo ki bhanti dusro ke sahyog se hi apne samst kary sampnn krte hai.
Vishesta
Kavyaguno ki drshti se Valmikiy Ramayan advitiy mahakavy hai. Vidvano ka mat hai ki yah mahakavy sanskrit kavyon ki paribhasha ka aadhar hai. Any rachanakaron ke samksh unki rchna shaili ke liye anek prerak tatha path-pradarshak granth rhe hai kintu Maharshi Valmiki ke sammukh aisi koi rachna nhi thi jo unka path-pradarshan kr ske. Atah yah Mahakavy purnatah unki maulik krti hai. Apne is Mahakavy me Maharshi valmiki ne advitiy shaili me prakrti-chitran, sanvad-sanyojan tatha vishay pratipadan kiya hai.
Is pustak ka kul size 10 MB hai aur kul pristho ki sankhya 449 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Writer | Maharshi Valmiki |
Book Language | Hindi |
Book Size | 10 MB |
Total Pages | 449 |
Category | Religious - Hinduism |
Download Free Hard Copy
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy From Amazon
Listen this book on audible
Goswami Tulsidas ke dwara krit Ramayan ko pdhne ke liye yha Click kre.