Bhagwat Puran Hinduo ke attharah purano me se ek hai. Ise Shreemad bhagwatam ya keval Bhagawatam bhi kehte hai. Iska mukhy varny vishay bhakti yog hai, Jisme Krishn ko Sbhi devo ka dev ya svayan bhagwan ke rup me chitrit kiya gya hai. Iske atirikt is puran me ras bhav ki bhakti ka nirupan bhi kiya gya hai. Parmpragat taur pr is Puran ke rachyita Vedvyas ko mana jata hai. Shreemad Bhagwat Bharatiy vanmay ka mukutmani hai. Bhagwan shukdev dvara maharaj parikshit ko sunaya gya bhaktimarg to mano sopan hi hai. Iske pratyek shlok me Shree Krishan-Prem ki sugandhi hai. Isme sadhan-gyan, siddhagyan, sadhan-bhakti, siddha-bhakti, maryada-marg, anugrah-marg, dvait, advait samanvay ke sath preranadayi vividh upakhyano ka adbhut sangrah hai.
Is pustak ka kul size 63.1 MB hai aur kul pristho ki sankhya 977 hai. Niche diye hue link se aap is pustak ko aasani se download kr skte hai. Agr aap is pustak ko khridna chahe to niche hm link bhi provide kr rhe hai aap vha se aasani se khrid skte hai.
Writer | unknown |
Book Language | Hindi |
Book Size | 63.1 MB |
Total Pages | 977 |
Category | Religious - Hinduism |
Download Free Hard Copy
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon
Listen this book on audible
If you're loving our work don't forget to Donate us.
Shesh Purano ke Nam :-
- Brahm Puran ( ब्रह्मपुराण )
- Padma Puran ( पद्म पुराण )
- Vishnu Puran ( विष्णु पुराण )
- Vayu Puran ( वायु पुराण )
- Narad Puran ( नारद पुराण )
- Markandeya Puran ( मार्कण्डेय पुराण )
- Agni Puran ( अग्नि पुराण )
- Bhavishya Puran ( भविष्य पुराण )
- Brahm Vaivart Puran ( ब्रह्मवैवर्त पुराण )
- Ling Puran ( लिंग पुराण )
- Varaha Puran ( वराह पुराण )
- Skand Puran ( स्कन्द पुराण )
- Vaman Puran ( वामन पुराण )
- Kurma Puran ( कूर्म पुराण )
- Garud Puran ( गरुड़ पुराण )