Nirmala Mushi Premchand ke dwara likhi gyi ek prasiddh Hindi upnyas hai. Jiska prakashan 1927 me hua tha. Mushi Premchand ji ne us samay chal rhi ‘Dahej pratha’ aur ‘ Anmel Vivah ‘ ko aadhar bna kr 1926 me is upanyaas ka lekhn kary aarambh kiya. Allahabad se prakashit hone wali mahilao ki patrika Chand me November 1925 se December 1926 ke ant me yah upnyas vibhinn kisto me prkashit hua. Mahila-kendrit Sahitya ke itihas me is Upnyas ka ek vishes sthan hai. Is upnyas ke katha ki kendra bindu aur mukhy patr ‘Nirmala’ nam ki 15 varshiy sundar aur susheel ladki hai. Nirmala ka vivah kafi budhe umr ke vyakti se kar diya jata hai. Jiske purv patni se use 3 bete hai. Nirmala ka chritr saf aur pavitra hai, lekin fir bhi samaj me use anadra aur avhelna ka shikar hona pdta hai.
Ukse pati ke prti uski imandari uske kam nhi aati. Us pr samaj ke dwara sandeh kiya jata hai, us samay ki soch aur paristhitiya use doshi bna deti hai. Is prakar Nirmala paristhitiyo se jujhti hui mrityu ko prapt krti hai. Nirmala me Anmel vivah aur Dahej pratha ki dukhant va marmik kahani hai. Upnyas ka lakshy Anamel vivah tatha Dahej-pratha ke bure prabhav ko ankit krta hai. Is upnyas ke patr ke madhyam se Bharat ki madhyavargiy yuvtiyo ki dayniy halat ka chitran bhi hua hai. Upnyas ke ant me Nirmala ki mrtyu is bure samajik pratha ko mita dalne ke liye ek bhari chunauti hai. Premchand Ji ne Bhalchand aur Moteram Shastri ke prasng dvara upnyas me hasy ki srshti ki hai.
Writer | Munshi Premchand |
Book Language | Hindi |
Book Size | 9.9 MB |
Total Pages | 300 |
Category | Literature |
Download Free Hard Copy
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy From Amazon
Listen this book on audible