Get 90+ Audiobooks and 1000+ Premium E-Books only at 249/- Get Now

Yajurveda ( यजुर्वेद ) Hindi PDF – Dayanand Saraswati

Yajurved – Hindu dharm ka ek mahattvapurn shruti dharmgranth aur char vedo me se ek hai. Isme yagy ki asl prkriya ke liye gady aur pady mantr hai. Ye Hindu dharm ke char pavitratm pramukh grantho me se ek hai aur aksr Rigveda ke bad dusra ved mana jata hai – Isme Rigveda ke 663 mantr paye jate hai. Fir bhi ise Rigveda se alg mana jata hai kyuki Yajurved mukhy rup se ek gdyatmak granth hai. Yagy me kahe jane vale gdyatmak mantro ko ‘Yajus’ kaha jata hai. Yajurved ke padyatmak mantr rigved ya Atharvaved se liye gye hai. Inme svatantr padyatmak mantr bahut km hai. Yajurved me do shakha hai : dakshin bharat me prachalit krishn Yajurved aur Uttar Bharat me prachalit shukl yajurved shakha.

Is ved me adhikanshatah Yagyo aur Havano ke niyam aur vidhan hai, Atahyah granth karmkand pradhan hai. Yajurved ki sanhitaye lagbhag antim rachi gyi sanhitaye thi, jo isa purv dvitiy sahasrabdi se pratham sahasrabdi ke aarambhik sadiyo me likhi gyi thi. Is granth se aaryon ke samajik aur dharmik jeevan par prakash pdta hai. Unke samay ki varn-vyavastha tatha varnashram ki jhanki bhi isme hai. Yajurved sanhita me vaidik kal ke dharm ke karmkand aayojan hetu yagy krne ke liye mantro ka sangrah hai.

Is pustak ka kul size 31 MB hai aur kul pristho ki sankhya 680 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.

 
 

Leave a Comment