Markandey Puran prachintam Purano me se ek hai. Yah lokpriy puran Markandey rishi ne kraushthi ko sunaya tha. Isme rigved ki bhanti Agni, Indr, Sury aadi devtao par vivechan hai aur grhasthashram, dincharya, nitykarm aadi ki charcha hai. Bhagwati ki vistrt mahima ka parichay dene vale is puran me Durga Saptashati ki katha evan mahatmy, Harishchandr ki katha, madalsa-charitr, atri-ansuya ki katha, dattaatrey-charitr aadi anek sundar kathao ka vistrt varnan hai.
Is puran ke andar pakshiyon ko pravachan ka adhikari bnakar unke dvara sab dharmo ka nirupan kiya gya hai. Markandey puran me pehle Markandeya Ji ke samip jaimini ka pravachan hai. Fir dharm sangyam pakshiyon ki katha kahi gyi hai. Fir unke purv janm ki katha aur devraj Indr ke karan unhe shaprup vikar ki prapti ka kathan hai.
Is pustak ka kul size 35 MB hai aur kul pristho ki sankhya 444 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Book Translator | Vravandan Das |
Book Language | Hindi |
Book Size | 35 MB |
Total Pages | 444 |
Category | Religious - Hinduism |
Download Free Hard Copy
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon
Listen this book on audible
If you're loving our work don't forget to Donate us.
Shesh Purano ke Nam :-
- Brahm Puran ( ब्रह्मपुराण )
- Padma Puran ( पद्म पुराण )
- Vishnu Puran ( विष्णु पुराण )
- Vayu Puran ( वायु पुराण )
- Bhagwat Puran ( भागवत पुराण )
- Narad Puran ( नारद पुराण )
- Agni Puran ( अग्नि पुराण )
- Bhavishya Puran ( भविष्य पुराण )
- Brahm Vaivart Puran ( ब्रह्मवैवर्त पुराण )
- Ling Puran ( लिंग पुराण )
- Varaha Puran ( वराह पुराण )
- Skand Puran ( स्कन्द पुराण )
- Vaman Puran ( वामन पुराण )
- Kurma Puran ( कूर्म पुराण )
- Garud Puran ( गरुड़ पुराण )