Agni Puran puran sahity me apni vyapak drshti tatha vishal gyan bhandar ke Karan vishisht sthan rkhta hai. Vishay ki vividhta evam lokopayogita ki drshti se is puran ka vishesh mahattv hai. anek vidvano ne vishay vastu ke aadhar pr ise bharatiy sanskrti ka vishvkosh kaha hai. Agni Puran me tridevon – Brahma, Vishnu evan Mahesh (Shiv) tatha sury ki puja-upasna ka varnan kiya gya hai. Isme pra-apra vidyao ka varnan, Mahabharat ke sabhi parvon kee sankshipt katha, Ramayan ki sankshipt katha, matsy, Kurm aadi avtaro ki kathaye, srshti-varnan, diksha-vidhi, vastu-pooja, vibhinn devtao ke mantr aadi anek upayogi vishayo ka atyant sundar pratipadan kiya gya hai.
Aadhunik uplabdh Agni Puran ke kyi sanskarano me 11,475 shlok hai evan 383 adhyay hai, parantu Narad Puran ke anusar isme 15 hajar shloko tatha Matsya Puran ke anusar 16 hajar shloko ka sangrah batlaya gya hai. Ballal sen dvara dansagar me is puran ke die gye uddharan prakashit pratiyo me uplabdh nhi hai. Is karan iske kuchh ansho ke lupt aur aprapt hone ki bat siddh mani ja skti hai.
Is pustak ka kul size 24 MB hai aur kul pristho ki sankhya 881 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi
Writer | Shree Maharshi Vedvyas |
Book Language | Hindi |
Book Size | 24 MB |
Total Pages | 881 |
Category | Religious - Hinduism |
Download Free Hard Copy
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon
Listen this book on audible
If you're loving our work don't forget to Donate us.
Shesh Purano ke Nam :-
- Brahm Puran ( ब्रह्मपुराण )
- Padma Puran ( पद्म पुराण )
- Vishnu Puran ( विष्णु पुराण )
- Vayu Puran ( वायु पुराण )
- Bhagwat Puran ( भागवत पुराण )
- Narad Puran ( नारद पुराण )
- Markandeya Puran ( मार्कण्डेय पुराण )
- Bhavishya Puran ( भविष्य पुराण )
- Brahm Vaivart Puran ( ब्रह्मवैवर्त पुराण )
- Ling Puran ( लिंग पुराण )
- Varaha Puran ( वराह पुराण )
- Skand Puran ( स्कन्द पुराण )
- Vaman Puran ( वामन पुराण )
- Kurma Puran ( कूर्म पुराण )
- Garud Puran ( गरुड़ पुराण )