Maha Purano ki suchi me 15ve puran ke rup me pariganit Kurm Puran ka vishesh mahattv hai. Sarvpratham bhagwan Vishnu ne kurm avatar dharn krke is puran ko Raja Indradyumn ko sunaya tha, Punah bhagwan kurm ne usi kathank ko samudr-manthn ke samay Indradi devatao tatha narad aadi rishi gno se kaha. Bhagwan kurm dvara kathit hone ke karan hi is Puran ka nam kurm puran vikhyat hua. Is puran me 17,000 shlok hai, is puran me purano me pancho pramukh lakshano-sarg, pratisarg, vansh, manvantar eva vanshanucharit ka kram baddh tatha vistrt vivechan kiya gya hai evam sbhi vishayon ka sanupatik ullekh kiya gya hai. Bich-bich me adhyatm-vivechan, kalikarm aur sadachar aadi pr bhi prakash dala gya hai.
Is pustak ka kul size 21.5 MB hai aur kul pristho ki sankhya 398 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Book Name | Kurma Puran |
Book Language | Hindi |
Book Size | 21.5 MB |
Total Pages | 398 |
Category | Religious - Hinduism |
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon
Listen this book on audible
If you're loving our work don't forget to Donate us.
Shesh Purano ke Nam :-
- Brahm Puran ( ब्रह्मपुराण )
- Padma Puran ( पद्म पुराण )
- Vishnu Puran ( विष्णु पुराण )
- Vayu Puran ( वायु पुराण )
- Bhagwat Puran ( भागवत पुराण )
- Narad Puran ( नारद पुराण )
- Markandeya Puran ( मार्कण्डेय पुराण )
- Agni Puran ( अग्नि पुराण )
- Bhavishya Puran ( भविष्य पुराण )
- Brahm Vaivart Puran ( ब्रह्मवैवर्त पुराण )
- Ling Puran ( लिंग पुराण )
- Varaha Puran ( वराह पुराण )
- Skand Puran ( स्कन्द पुराण )
- Vaman Puran ( वामन पुराण )
- Garud Puran ( गरुड़ पुराण )
- Brahmand Puran ( ब्रह्माण्ड पुराण )