Attharah Purano me Bhagwan Mahadev ki mhan mhima ka bakhan krnevala Ling Puran vishisht Puran kaha gya hai. Bhagwan Shiv ke jyorti lingo ki katha, ishan kalp ke vrittant sarvavisarg aadi dasha lakshno sahit varnit hai. Bhagwan Shiv ki mahima ka bakhan ling Puran me 11,000 shloko me kiya gaya hai. Yah samast Purano me shreshth hai. Vedavyas krit is Puran me pehle yog fir kalp ke vishay me btaya gya hai.
Ling shabd ke prati aadhunik samaj me bdi bhranti payi jati hai. Ling shabd ka shabdik arth chinh athva pratik hai – jaisa ki Kanad muni krt vaisheshik darshan granth me paya jata hai. Bhagwan Maheshvar aadi purush hai. Yah Shiv ling unhi Bhagwan Shankar ki jyotirupa chinmay shakti ka chinh hai. Iske udbhav ke vishay me srishti ke kalyan ke liye jyorti ling dvara prakat hokr Brahma tatha Vishnu jaiso anadi shaktiyo ko bhi aashchary me dal dene vala ghatna ka varnan, is puran ke varny vishay ka ek pradhan ang hai. Fir mukti pradan krne vale vrat-yog shivarchan yagy havnadi ka vistrt vivechan prapt hai. Yah shiv puran ka purak granth hai
Is pustak ka kul size 8 MB, 8 MB hai aur kul pristho ki sankhya 502, 512 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Writer | Shri Ram Sharma Acharya |
Book Language | Hindi |
Book Size | 8 MB, 8 MB |
Total Pages | 502, 512 |
Category | Religious - Hinduism |
Download Part – 01
Download Part – 02
Donate us for maintenance
Buy Hard Copy from Amazon
Listen this book on audible
If you're loving our work don't forget to Donate us.
Shesh Purano ke Nam :-
- Brahm Puran ( ब्रह्मपुराण )
- Padma Puran ( पद्म पुराण )
- Vishnu Puran ( विष्णु पुराण )
- Vayu Puran ( वायु पुराण )
- Bhagwat Puran ( भागवत पुराण )
- Narad Puran ( नारद पुराण )
- Markandeya Puran ( मार्कण्डेय पुराण )
- Agni Puran ( अग्नि पुराण )
- Bhavishya Puran ( भविष्य पुराण )
- Brahm Vaivart Puran ( ब्रह्मवैवर्त पुराण )
- Varaha Puran ( वराह पुराण )
- Skand Puran ( स्कन्द पुराण )
- Vaman Puran ( वामन पुराण )
- Kurma Puran ( कूर्म पुराण )
- Garud Puran ( गरुड़ पुराण )