Vedvyas krit sbhi Purano me Skand Puran sbse bda Puran hai. Bhagwan Skand ke dvara kathit hone ke karn iska nam Skand Puran hai. Vichitr Kathao ke madhyam se bhaugolik gyan tatha prachin itihas ki lalit prastuti is Puran ki apni visheshta hai. Aaj bhi isme varnit vibhinn vrat-tyoharo ke darshan Bharat ke ghar-ghar me kiye ja skte hai. Isme dharm, Sadachar, Yog, Gyan tatha Bhakti ke sundar vivechna ke sath aneko sadhu-mahatmao ke sundar charitr piroye gye hai. Is pustak ke 2 bhag hai jise aap niche diye hue link se aasani se download kr skte hai.
Isme laukik aur parlaukik gyan ke anant updesh bhare hai. Isme dharm, sadachar, yog, gyan tatha bhakti ke sundar vivechan ke sath aneko sadhu-mahatmaon ke sundar charitr piroye gye hai. Aaj bhi isme varnit aacharo, paddhatiyo ke darshan Hindu samaj ke ghar-ghar me kiye ja skte hai. Iske atirikt isme bhagwan Shiv ki mahima, sati-charitr, shiv-parvati-vivah, kartikey-janm, tarakasur-vadh aadi ka manohar varnan hai.
Is pustak ka kul size 7 MB, 8 MB hai aur kul pristho ki sankhya 509, 508 hai. Niche diye hue link se is pustak ko aasani se download kr skte hai aur muft me pdh skte hai. Agr aap is pustak ki hard copy lena chahte hai to niche hm Amazon ka link bhi provide kr rhe hai aap vha se esaily is pustak ko khrid skte hai. Pustke hmari sachchi mitr hoti hai aur Freehindibook.com pr aapko hjaro pustke muft me pdhne ko mil jayengi.
Writer | Shri Ram Sharma Acharya |
Book Language | Hindi |
Book Size | 7 MB, 8 MB |
Total Pages | 509, 508 |
Category | Religious - Hinduism |
If you're loving our work don't forget to Donate us.
Shesh Purano ke Nam :-
- Brahm Puran ( ब्रह्मपुराण )
- Padma Puran ( पद्म पुराण )
- Vishnu Puran ( विष्णु पुराण )
- Vayu Puran ( वायु पुराण )
- Bhagwat Puran ( भागवत पुराण )
- Narad Puran ( नारद पुराण )
- Markandeya Puran ( मार्कण्डेय पुराण )
- Agni Puran ( अग्नि पुराण )
- Bhavishya Puran ( भविष्य पुराण )
- Brahm Vaivart Puran ( ब्रह्मवैवर्त पुराण )
- Ling Puran ( लिंग पुराण )
- Varaha Puran ( वराह पुराण )
- Vaman Puran ( वामन पुराण )
- Kurma Puran ( कूर्म पुराण )
- Garud Puran ( गरुड़ पुराण )